Vajan Badhane Ke Liye Tarike – वजन कैसे बढ़ाये
Padiiye – Vajan kaise badhaye eske tarikei – Vajan kam hone se hamari personality bhi achhi nahi ban paati sath hi yah health ke liye bhi thik nahi hoti. Vajan kam hone ke wajah se hamari body etni najuk ho jati hain ki hme kabhi bhi koi si bhi bimari lag jati hain. Sardi Jukam Bukhar to aam baat ho jati hain.
Kam Vajan hone se hamari puri lifestyle bigadne lagti hain. Pure sharir ki beauty khatm ho jati hain. Face cut bigad jata hain etc Insab se me bhi pareshan tha, es article me wah sab bta rha hoon jo ki maine vajan badhane ke liye tarike try kiye tha or jinse muje fayda hua tha.
Vajan badhane ke liye jin chijon ki jyada jarurat hoti hai un sabhi chijon ko yahan btaya gaya hai. esliye es article ko pura aur dhyan se padein.
Vajan Badhane Ke Upay Gharelu Nuskhe
Padiye : Vajan badhane wale khas gharelu nuskhe ke baare yah vajan ke liye behtarin gharelu upay hai.
Calorie Ka Upay
Sabse jyada calorie badam, kishmish, dry fruits me milti hai, Inka upayog aap aese kare – badam ya koi or dry fruits ko roast karlei or agar aap chahe to inhei kurkoora bhi bana saktei hai, Eske baad inhei snacks ke tor par khaaya ja sakta hai. Esse aapko bahut benefit hoga aapke vajan ke badne me tezi aayegi.
Poshak Tatva Wala Bhojan Lein
Vajan badane ke liye aapko aesi chizein khani chahiye jo ki fat na badhaye, Kyonki aapko healthy hona hai na ki mota. poshak tatva & Calorie wala bhojan jyada khayein or saath hi aesa bhojan na le jo ki fat ko badhata ho.
Rozana Exercise Kare
Vajan badhane ke saath-saath hame hamare sharir ko feet bhi rakhna hai taaki ham aane wale vajan ko achhe se adjust kar sakein esliye daily yoga or exercise kare esse body stretch hogi or sharir me blood ki speed increase hogi , Khana pachane me aasani hogi. Ek healthy feet and fine life ke liye to aapko hamesha hi yoga exercise karna chahiye.
Protein Jyada Matra Me lein
Vajan badhane me protein ka sabse jyada yogdan hota hai kyonki yah hamare sharir ko takat deta hai Or protein ko bharpur maatra mei lene ke liye aapko – machali (fish), anda (eggs), chicken, chawal, soyabean, milk powder aadi inka upayog jarur karna chahiye.
Bhojan Jyada Karein (Diet Plan Badhaye)
Yah bhi ek behatarin gharelu upay hai. Vajan badhane ke liye sabse jyada jaruri hai bharpur maatra mai bhojan karna kyunki aapke sharir ki growth hogi to uske liye protein or shakti ke tatva ki jarurat hoti hai eske liye aapko diet plan badhana padega.
Hari Sabjiyon ka sevan kare
Hari sabjiyan jese palak, bhindi, tamatar aadi taaji sabjiyon ka sevan kare yah sharir ko smooth banayegi or aapke mind ko fresh rakhegi. esse aapki skin bhi gori hogi. Hari sabjion ko to apne daily diet plan me shamil karke rakhein hi, kyonki eske faaydei hi fadei hote hai.
Aahar Lena Ka Sahi Tarika
Har 2-3 ghantey ke andar kuch na kuch khatein rahain or din mai 3 bade aahar ka sevan kare, Or Khana khane ke baad jyada pani na piye uske 30 minute baad piyein. Esse khana achhe se pachta hai.
Achhi Nind lene se badega vajan
Nind ko hamari Society dushman maanti hai, wese nind dushman hai lekin tab jab aap ese jyaada matra me lein Or agar aapne nind kam maatra me li to bhi yah aapki dushman bani rahegi. Veigyaniko ke research se pata lgaya gaya hai ki bharpur matra me nind lene se vajan badhta hai or mind fresh rahta hai. esliye hamesha bharpur nind lein.
Vajan Badhane Ke Liye Foods Sabjiyan
Vajan ko badhane ke liye kya khana khana chahiye – Yah bhi janlijiye taaki motapa badhane me hamari taraf se koi kami feel na ho. Or yah helpful bhi rhega. khana khane se hi health me growth hoti hain. inse hme bharpur Calorie, nutrients, fat, proteins etc milte hain.
Dairy Foods Khayein
Milk (Dhudh Piye)
1 Cup dhudh mein 13 gram carbs or 8 gram protein, 150 calories, 13 gram fats milta hain. Weight ko increase karne me yah vegetarians ke liye bahut helpful hain. Esliye daily 2 glass pure dhudh piye, 1 glass subah ke wakt or 1 glass sote waqt (Night Time) me.
Butter (Ghee Khayein)
Lagbhag ham sabhi butter ki rotiyan khana pasand karte hain, yah khane me bhi bahut swadisth lagta hain. Butter bhi dhudh se hi bana hota hai esliye esmein khaskar protein paaya jata hain. 100 gram butter me kariban 81 gram fat hota hain. Esko rojana use karne se jaldi se vajan badhane me aasani hogi ke aasan tarike.
Curd (Dahi Ka Sevan)
Dahi weight gain karne mein bahut labh deta hain, Body Banane ke liye bahut se experts bhi bodybuilders ko dahi khane ki salah detein. esse skin (Twacha) bhi khubsurat dikhne lagti hain. Esko khane ka best time hei (Daily Khana khane ke samay) Subah sham dono time jab aap bhojan karne bethe to sathme dahi bhi le lein.
Shakahari fal sabjiyan se vajan badhaye
Banana
Yah to bahut se log jante hain ki kele khane se body banti hain, yah fat or muscles mass ko increase karta hain. Ek Kele mein 105 calories hoti hain. Or yah ‘Instant food energy’ ke naam se bhi jana jata hain. Esko aap suabh dhudh ke sath khayein or bhi fayda dega.
Potato (Aalu)
Aalu mein Amino acids, Glutamine, Arginine jaise tatva paye jate hain jo ki weight gain karne me bahut helpful hote hain. Aap eske jagah sweet potatoes bhi kha saktein hain Esme or bhi jyada Nutrients mojud hote hain – Higher Calories, , Anti-oxidents, Proteins, Vitamins, Fiber, Minerals or Carbohydrates Paye Jate hain.
Soy Bean & Gram (Chane)
Eska use mene khud kiya hain, Soy bean or chane (grams) weight gain mein bahut helpful hote hain Sath hi yah muscles power badhate hain. Raat ko sote samay ek Katore Ya Bade Cup mein Soy bean or Chane dono ko paani mein dalkar rakhdein, Subah tak yah Ful jayenge, fir subah uthkar Cup ka pani nikalkar inko khayein inse Khoon bhi badhta hain or blood circulation mein bhi labh dete hain.
Mansahari bhojan se jaldi vajan badhaye
Eggs (Andde Khayein)
Protein pane ke liye andde bhi ek behatrin food hain, yah aasani se kahin bhi mil jata hain. Esmein Khaskar Vitamin A, Vitamin D or Vitamin E paaye jate hain or Andde Khane se Height bhi badhti hain. daily eggs khane se body jaldi growth karne lagti hain.
Meat (Sabse Jaldi Vajan Badhayega)
Sirf meat hi ek aesa food hain jo ki vajan ko sabse jaldi badha sakta hain. Bahut se log meat khana pasand nahi karte me bhi nahi karta But yah sach he agar aap meat kha sakte hein to aapka vajan ek mahin me hi teji se jyada badh sakta hain. Eske liye aap Protein Wala meat or protein wali oily fish khayein.
दोस्तों उम्मीद है बताये गए वजन बढ़ाने के तरीके से आपको भरपूर लाभ मिले. कैसे बढ़ाये अपना वजन घरेलु नुस्खे से.
Agar aapko humse vajan badhane wale upay ke baare me aur kuch puchna ho ya Question karna hoto Comment kare.
Recommended :
Sir koi acchi tablet ka nam btao jo jalde vajan badhaye plese
Soybean ka use karo best hai
Banana milk khow energy milega
Bahut hi accha post likha hai aapne aur ye kisi ko bhi jaldi weight badhane me bahut help karegi. Thank you me is post ko jarrur share karunga
sir ji me 16 sal ka hu meri bodyckyun nhi ban rahi he mujhe 1 mhine me vajan bdhana he please sirji you are the great and very helpful article he
main din me 3 baar bhar pet khana khat noon fir na wajan badhta hai na ki personality
sir jo bhi apne iss page me bataya hai itna koi karta nhi mai apke baato follow kr rha hu. Mere sarir me bahut jyada changing ho chuki hai mai bata du ki itna koi bhi follow nhi karta sabhi log to capsule,powder,tablet ke chakkar me hai.