Facebook Page Ke Likes Kaise Badhaye
Fb likes badhane ke tarike – Facebook ne bahut tezi se logon ke dil me aasani se jagah banali hei. Apne desh bharat mein Facebook ko har age ke log use karte he.
Aese me facebook kafi popular ho gayi he or esiliye aap Facebook par aap apne business page ko promote bhi kar saktein he.
Ya koi Fan page chala saktein hein Kyoki ab facebook page ke jariye paise bhi kamaye ja sakte hai. yaani ki aap apne fb page se paise kama paayenge.
Or eske liye jaruri hoga aapke page par jyada likes ka hona esliye ham aapke saath super tricks share kar rahe hein “Facebook par real likes kaise badhaye or aage padhei”.
Facebook Page Auto Liker Trick Online Free
Ham Sabse pahle to Facecbook Page par auto liker se likes kaise badhaye eske bare mein baat karenge. Addmefast.com yah ek aesi website he jiske jariye aap facebook par likes badha sakte hein. Yahan Real likes milenge. (No fake likes or bots).
Esme aapko dusre ke Fb page ko like karna hoga apne FB page par likes paane ke liye addmefast par aap PRO plan bhi kharid saktein he, es plan se aapko bina kisi ke Facebook page ko like kiye bina aapke Fb Page ko likes milenge.
Esme aap country wise likes bhi karwa saktein hein. Addmefast Points ke jariye chalta he For Example – Aapne apne page ka point 8 select kar rkha ho to esse jo bhi user aapke page ko like karega use wo 8 points mil jayenge.
Lekin aap jab bhi first time addmefast par account banaye to starting me 2 points select kare jab aapko kam like milne lage to points ko badhate jaaye – Or ha addmefast ki terms and condition bhi padle ye bahut strict hei.
Ab ham baat karte hein facebook se hi apne page par likes paane ke tarike ki, Or apne Fb Page par popularity badhane ke tarike ki.
7 FB Page Par Like Badhane Ke Tarike
1 . Daily Posts Update karein –
Yah likes increase karne me sabse bada factor hein, Rozana apne facebook page par achhi-achhi post karein. daily post karne se jyada logon tak aapke FB page ki khabar hoti hein.
Agar aap kahi baahar jaane wale he ya kuchh din FB se dur rahna padh jaye to aesi situation me aapke facebook page par already post dalkar usse schedule kardein. or usmein wah time set kardein jab aap fb par post nahi kar paye.
2 . Har Baar Kuch Naya Or Sabse Alag post karein –
Yah “Best trick hei facebook page ke like increase karne ki” Jab aap new post daltein hei to aapko jyada se jyada likes milte hein, aese me koi bhi user aapki post ko ignore nahin karta. Kyunki aapki post new or sabse alag hogi. esse Fb aapke page or post ko promote karne lagegi.
3 . Page Par Posts Karne Ka Sahi Time
Sahi time choose karne se fb page like increase hone ki sambhavna jyada hoti. For Example Morning Time – aajkal FB users subah uthate se hi sabse pahale FB check kartein he 5-10 minute ke liye hi sahi lekin subah ke samay sabhi user thodi der ke liye online jarur aatein hein.
Evening Time Or Night – Yah Sabse best time hota hei kyunki Din bhaar kaam karne ke baad jab ghar aatey hei to wo Fb par online jarur aatein hein. Evening or night time par wah 1-2 hours to FB par laga hi dete hai.
Festival Or Holiday Time – Festivals Aane par holidays lag jaatein he sabhi bussiness men students free ho jate he aese me wah apna samay fb par nikaalte hein, festivals to mahino me ek baar aate hein lekin sunday to ek mahine me 4 baar aata hei to sunday ka bhi use karein.
Or agar aap aese samay par Fb page par post update na kar paate ho to schedule post ka use karein. Pahle se hi post ka time select karke schedule par rakhdein.
4 . Pictures Ka Use Karna –
Apne Facebook page par images dalein or images me apne page ka naam bhi dalein, Interesting Amazing facts Jokes etc aesi Images dalein jisse padkar facebook ke users unhein jyaada se jyada share karein.
5 . Facebook Par Likes Kyo Nahi Milte Hein –
Facebook par bahut se brand pages ko like na milne ka sabse bada reason hota hei “uniteresting post ko apne page par dalana” agar aap apne facebook page par valuable post nahi karenge to jaldi hi aapke fans kam ho jayenge aapki post ko koi nahin dekhega,
Sab ignore karenge Jisse facebook aapke page ko logon ko suggest nahin karega. agar aapke page ki post shandar hongi or users unhein like karenge to esmein facebook bhi aapki help karegi wo aapke page ko users ko suggest karegi esse or jyada Likes badenge.
Yaad Rakhe “Sirf Valuable Posts hi Kare”.
6. Page Ko Promote Karein –
Agar aapke pas koi sa personal blog website ho to uspar facebook plugin ke jariye apne facebook page ko waha show karein. Jo bhi new visitor aayenge wo aapke page ko bhi like karenge esse likes badhane me help milegi.
7 . Related Fb Page Par Comments or like karna –
Apne Facebook page se related pages par achhi-achhi comments Karein, taaki jab koi user us comment ko dekhe to aapke page ki or attract ho. Aap Funny pic ki comment bhi kar saktein hein, Or jis bhi user ne achhi comments ki ho usko support karein. yah sabse Free or easy tarika he Related Page par comment karne ka es trick ko hamesha try kare.
Dosto : Agar aapko hamare jariye btai gai Fb pages like kaise badhaye eske trick “Tarike” padkar agar aapko koi Doubt ho to aap hamse comment ke jariye puch sakte hain.
Also Read :