Kaafi Beautiful experience hota hain. Esiliye aaj ham aapko dhyan kaise lagaye or kaise karte hai or esme kya-kya karna chahiye eske tips/tarike btayenge hindi language me.
Dhyan Kaise Lagaye Tips
Ek successful or peaceful life ko achieve karne ke liye sabse jyada jaruri hota hai “Dhyan”. Esse hame Maansik shaanti milti hai, Memory power badhti hai, Life me positive hone lagta hain, Man (Mind) Concentrate rahta hain. dhyan me man kaise lgaye or kare jaaniye eske details.
Bahut se youngsters hain, Jo ki josh me aakar dhyan karne ka man banalete hain Lekin dhyan me man nahin lagne par wah 2-4 din ke baad dhyan karna band kardete hain. Esiliye ham aapko Dhyaan me man lgane ki, Concentrate karne ki kuch tips de rhe hain. Inko dhyan karne se pahle kare To aapka dhyaan se man nahi bhatkega. padiye dhyan kaise karna chahiye full info tarike.
Dhyan Karne Liye Kya Kare ??
- Empty Stomach Rakhe
Khana khane ke baad alasya aajate hai, esliye kabhi bhi kuch khaane ke baad dhyan nahin karna chahiye, kyunki yah dhyan me focus nahi karne deta hain. Waise agar aap subah ke samay dhyan karenge to koi problem hi nahi rhegi, kyunki subah to pet khaali hi rhta hain.
-
Bathing Kare
Nahne se sharir or man me taajgi aajati hain Aalasya dur ho jaate hain. dhyan karne se pahle Fresh hokar naah lein. Esse aapka man taza rahega or meditation karte samay nind nahi aayegi.
-
Ekaant Jagah Chune
Dhyan karne ke liye jaruri hain ki kisi bhi tarah ka disturbance na ho, eske liye aap apne ghar me ek room choose kare uska darwaja or light off karle Apne mobile phone ko Ya to switch off karle ya silent mode par rakhdein.
Agar aap ghar par dhyaan nahi kar sakte to Baahar Park me jakar bhi dhyan kar sakte hain. Yaa aapke ghar ke paas achhe nature wali jagah hoto wahan jaakar dhyan kar sakte. yah or bhi achha rhega.
-
Halke Kapde Pahne
Dhyaan ke liye halke kapde pahne taaki aapko bethne me pareshaani na ho, or sharir ko oxygen aasani se touch kar sake. Esse aapko relaxed feel hoga. Agar aap jeans Tshirt me dhyan karenge to bahut problem hogi, bahut pasina aayega etc.
-
Meditation Karne Ki Timing
Dhyan lagane ke liye sahi samay chune or rojana usi samay par dhyan kare. Waise Dhyan karne ke liye subah ka time sabse best hota hain. Esliye aap subah jaldi uthne ki aadat banaye or rojana 6 am se lekar 7 am ke bichme kisi bhi samay dhyan kare.
Subah ke samay Oxygen fresh hoti hai, jisse meditation karne me aasani hoti hain, Bus, Car air pollution etc morning time par kuch bhi nahi hota pura nature shaant rahta hain. Es Samay dhyan karne me koi disturbance bhi nahi hoti.
-
Warm Up Kare
Normally jab ham Dhyan karne bethte hain to per dard karne lagte hain, Kabhi haath, kabhi kamar, kabhi gardan Yah sab meditation karne nahi dete esliye meditation karne se pahle 5 minute Surya Namaskar or yoga karle esse body ki stretching ho jayegi. Jisse aapko bethne me problem nahi hogi.
-
2 Minute Pranayam Kare
Jab ham sidhe meditation karne bethte hain to dhyan karne me man nahi lagta (Mood hi nahi hota) to esse bachne ke liye aap Pranayama kare. Pranayam karne se man shant ho jayega Jisse aapka man ekagra hojayega.
-
Meditation Posture
Dhyan ke liye sabse easy pose hota hai siddhasana, haa starting me aapko meditation ke posture me der tak bethne me pareshaani hogi lekin dheere-dheere practise hone se yah band ho jayegi. Eske liye aap din me bhi esi posture me bethne ki aadat dalein esse meditation me bethne ki strength badhegi.
Siddhasana me bethne ke baad apni vertebrae (Back) ko naa to jyada jhuka kar rakhein or naa hi jyada stretch, Pure sharir ko jitna halka karke chod denge dhyan lgane me utna hi benefit hoga. Apne chehare par ek smiley bana kar rakhein.
Apne sharir ko bilkul dheela chod dein, jara bhi tight nahi rakhein nahi to dhyan nahi lag paayega kyunki esse sharir dard karne lagega, Esliye beneficial to yahi hain ki aap sharir ko na jyada khinchein na jyada jhukayein- Dhyan lgane ki jaruri tips hai.
-
10 Deep Breaths Lein
Posture me beth jaane ke baad ankho ko band karle or 10 dheere dheere gahri swans lein, Jab swans Inhale kare to mehsus kare ki aapke andar sakaratmak shakti aarhi hain OR Jab swans baahar Exhale kare to feel kare ki saari nakaratmak energy baahar jaa rhi hain. esse aapke sharir me mojud bekar oxygen baahar nikal jayegi, or breathing par focus karne me bhi aasani hogi. Apne mind me positivity bhar jaayegi.
-
Breathing Par Focus Karna
Ab aapko apni breathing ko dekhna hain, “Apna pura focus inhale or exhale par lgaadein. Yah dekhein ki breath kaise inhale hue or fir kese exhale hue. Agar aapko starting me aesa karne me problem ho to aap breath ko count karna shuru karde. Breath ko sirf dekhe or count kare ki yah aai or yah gai bas.
Yah bahut easy hain, Lekin sirf tab jab aap sirf breathing par dhyaan denge agar aapne apne man (Mind) me aane wale vichaaron par dhyaan diya to “Gai Bhains Paani Me” Eske liye best rahega ki thoughts ko ignore karein, “Thoughts Aaye Bhi to unhein aane dein Aap sirf apne breathing ko dekhte rahe” dheere-dheere thoughts gayab hone lagenge.
-
Awareness Meditation
Yah Bahut easy meditation hain, Esme aapko sirf posture me bethe rahna hain naa to apni breath par dhyan dena haina na vichaaron par. Aap sirf posture me beth jaaye or apne aas paas ki awaz sune. Yah dhyan aap car, bus me bhi kar sakte hain.
Es dhyan me karna kuch bhi nahi hain, “Sirf dekhna hain” Witness karna hain, Fir chahe wah Thoughts ho, Feelings Ho, Shorgul ho Aapko in sab ko accept karna hain or witness karni hain.
For Example : Aapko koi thought aaya ki “aapke saath bura ho gya aapki galti nahi thi fir bhi” To aapko es thought ko sirf dekhna hain, Es thought ko reply nahi dena hain, Esi me iulajh nahi jana hain. Jo ho rha he hone do aap sirf witness banaye rakhein. Yah dhyan karne ke tarike me se sabse best hain.
- Journey Of Meditation (Learn) By Yogi
-
Mindfulness Meditation
Es meditation ka meaning hota hain Aap jo bhi kaam kar rhe ho usko pure dhyan se karna, For Example aap walking kar rhe hain – To pure dhyaan se walking kare Apne peron ko chalte hue dekhein. Khana khate samay apne munh ko dekhein pure dhyan se ki kaise khana chabaya ja rha hain etc. Chahe aap jo bhi work kare apna pura dhyan lga kar kareiin
Dhyan Lagane Ke Fayde Labh Jaane
- Maansik Shanti milti hai, Aapko koi si problem tension nahi de sakti.
- Concentration badta hain, Aap jo bhi kaam karenge usme aapka dhyan nahi bhatkega.
- Blood pressure me faydemand hoga
- headaches, ulcers, insomnia ko khatm kar dega.
- Memory power badhata hain.
- Mind tej karta hain, Aapke sochne samjhne ki strength badhti hain.
- Spiritual Power – Jab aapka meditation deeper (Gahraa) hota jaayega to aapko spiritual power jisi siddhi kahte hain. Wah aapko milne lagengei
- Kisi bhi chij ka future or Past jaan sakenge.
उम्मीद है दोस्तों – हमारे द्वारा बताई गई ध्यान कैसे करते है, कैसे गहरा ध्यान लगाए इसके तरीके/उपाय से आपको भरपूर लाभ मिले. इसके अलावा अगर आपको हमसे कुछ पूछना है तो निचे Comment करे. हम आपकी पूरी मदद करेंगे.
Also Read :
dhanywad sir me daily 15 mimute dhyan karta hu par man nahi laggta hai. ab me inko tips ko try krke dekhta hu kya result milta he fit btaunga.
Jarur.. Dhyan karne se pahle btai baato ko ek baar jarur kare.
dhanwad mitra. me abse in dhyan lagane ki tips par jarur dhyan dunga.
Try karta hun
Dhanyawad
Try Karo or Fir result hamare saath share karna
Kya lateKAR dhyan Kiya ja salts hai
Haa lekin beth kar dhyan karna jyada behtar hota hain.